Wednesday, August 14, 2013

ye raat itni tanha kyun hoti hai


ye raat itni tanha kyun hoti hai ?
apni kismat se sabko shikayaat kyun hoti hai ?
ye kismat bhi ajeeb khel khelti hai,
jisse hum paa nahi sakte,
ussi se hee mohabbat kyun hoti hai ?

Ye pal kabhi nai rukta kisi ke liye,




Ye pal kabhi nai rukta kisi ke liye,
Har pal har mod Tanha hai sirf mere liye,
Koi nai apna kehne ke liye,
Zindagi ek saza hai jeene ke liye,
Pyar ek dhokha hai paane ke liye,
Jeena Padega Janam dene walo ke liye,
Marna padega ek din Zamane ke liye,
Apne liye Kya kiya maine,
Har pal marti rahi Pyar “Paane ke liye”



Monday, August 12, 2013

Main “KHUDA” ki “nazron” mein bh


                                Main “KHUDA” ki “nazron” mein bhi “Gunahgaar” hota hon
                                 jab “Sajdon” mein bhi wo “shakhs” mujhe “Yaad” aata hai

Roz taron ki numaish mein khalal parta he


Roz taron ki numaish mein khalal parta he 
Chand pagal he andheray mein nikal parta he 
Aik deewana musafir he meri ankhon mein 
Waqt be-waqt thehar jata chal parta he 
Apni tabeer k chakar mein mera jagta khawab 
Roz suraj ki tarah ghar se nikal parta he 
Roz pathar ki himayat mein ghazal likhty hein 
Roz sheeshon se koi kaam nikal parta he 
us ki yaad ayi he sanso zara ahista chalo 
Dharkano se bhi ibadat mein khalal parta he