Saturday, August 3, 2013

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain S


Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain So Us Kay Shaher Main Kuch Din Thehar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haloon Say So Apnay Aap Ko Barbadd Kar Kay Dekhatay Hain Suna Hai Dard Ke Gahak Hai Chash m Naaz Uski So Ham Bhi Uski Gali Say Guzar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Usko Bhi Hai Shaer o Shairy Say Shugaf So Ham Bhi Mujazay Apnay Hunar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Bolay Tu Batoon Say Phool Jhartay Hain Yah Baat Hai Tu Chalo Baat Kar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Raat Usay Chaand Takta Rahta Hai Setaray Baam Falak Say Utar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Raat Ko Usay Tetliyaan Satate Hain Suna Hai Raat Ko Jugno Thaher Kay Dekhtay Hain Suna Hai Hshar Hain Uske Gaazal Se Aankhain Suna Hai Usko Heran DashT Bhar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Raat Say Bhar Kar Hain Kaklain Uske Suna Hai Shaam Ko Sayey Guzar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Uske Seeyah Jashmage Qyamat Hai So Usko Surma Frosh Aah Bhar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Uskay Laboon Say Gulab Jaltay Hain So Ham Bhi Bahar Pay Elzaam Dhar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Aaina Timshaal Hai Jabeen Uski Jo Saada Dil Hain Usay Ban Sanwar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Jab Say Hamayal Hain Uske Gardan Main Mezaaj Or He Lal o Guhar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Chash m Tasawer Say Dasht Imkaan Main Palang Zaviyay Uske Qamer Kay Dekhtay Hain Suna Hai Uskay Badan Ke Tarash Ease Hai Kah Phool Apni Qubaey Kutar Kay Dekhtay Hain Bas Ak Negah Say Lutta Hai Qafla Dil Ka So Rahzan Tamanna Bhi Dar Kay Dekhtay Hain Suna Hai Uskay Shabastan Say Mutasel Hai Bahshat Makeen Edhar Kay Bhi Jalway Udhar Kay Dekhtay Hain Rukay Tu Gardeshain Uska Tawaf Karte Hain Chalay Tu Usko Zamanay Thaher Kay Dekhtay Hain Kesay Naseeb Kay Bay Pairhan Usay Dekhay Kabhi Kabhi Dar o Dewaar Ghar Kay Dekhtay Hain Kahaniyaan He Sahi Sab Mubalgay He Sahi Ager Wo Khowab Hai Tabeer Kar Kay Dekhtay Hain Ab Us Kay Shaher Main Theray Kay Kooch Kar Jain Faraz Aao Setaray Safer Kay Dekhtay Hain Abhi Kuch Or Karishmay Gazal Kay Dekhtay Hain Faraz Ab Zara Lahja Bdal Kay Dekhtay Hain Judaiyaan Tu Muqaddar Main Hain Pher Bhi Jaan -e- Safer Kuch Or Door Zara Sath Chal Kay Dekhtay Hain Rah Wafa Main Hareem Khayal Koee Tu Ho So Apnay Aap Say Aagay Nekal Kay Dekhtay Hain Tu Samnay Hai Tu Pher Yaqeen Kyun Nahi Aata Yah Bar Bar Jo Aankhoon Ko Mal Kay Dekhtay Hain Yah Koon Log Hai Mujood Teri Mahfil Main Jo Lalchoon Say Tujhay , Mujh Ko Jal Kay Dekhtay Hain Yah Qurb Kia Hai Kah Yak Jaan Howay Na Dorr Rahay Hazaar Ak He Qalib Main Dhal Kay Dekhtay Hain Na Tujh Ko Maat Hoee Na Mujh Ko Maat Hoee So Ab Kay Dono He Chalain Bdal Kay Dekhtay Hain Yah Koon Hai Sir Sahil Kay Dobanay Walay Sumandaroon Ke Tahoon Say Uchal Kay Dekhtay Hain Abhi Talak Na Kundan Howay Na Raakh Howay Ham Apni Aag Main Har Rooz Jal Kay Dekhtay Hain Bohat Deno Say Nahi Hai Kuch Uske Khair Khaber Chalo Faraz Koaiy Yaar Chal Kay Dekhtay Hain Ab Us Ke Shehar Mein Thehrein k Kooch Ker Jain Faraz Aao, Sitaray Safar Ke Dekhtay Hain

No comments:

Post a Comment