Saturday, August 3, 2013

Yeh Kamyabian Izat Yeh Naam Tum


Yeh Kamyabian Izat Yeh Naam Tum Sey Hai Khuda Ney Jo Bhi Diya Hai Mukaam Tum Sey Hai Tumharey Dum Sey Hain Mairey Lahu Main Khiltey Gulab Mairey Wajood Ka Sara Nizaam Tum Sey Hai Kahan Bisat Jahan Aur Main Kamsin-o-Nadan Yeh Mairi Jeet Ka Sab Ahtamam Tum Sey Hai Jahan Jahan Hai Mairi Dustumni Sabab Main Houn Jahan Jahan Hai Maira Ahtaraam Tum Sey Hai Wasi Shah

Dard gar aadmi hota To gareban pakar kar kehte


Dard gar aadmi hota To gareban pakar kar kehte
 Iss tarha rehtey hain Be-chain dilon k andar Iss tarha karte hain Bemaron se Dil main rehna hy to Theek se rehna sekho Hum tumhein sehtey hain Kuch tum b to sehna sekho Aik thori si khushi aaiy to Jal jate ho Dard Gar Aadmi Hota…….

Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon




Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon Tumne Bhi Shaayad Yehi Soch Liya Haan … Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon Kisipe Husn Ka Guroor Jawaani Ka Nasha Kisike Dil Pe Mohabbat Ki Ravaani Ka Nasha Kisiko Dekhke Saanson Se Ubharta Hai Nasha Bina Piye Bhi Kahin Had Se Guzarta Hai Nasha Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara Kise Hai Hosh Mere Saamne To Laao Zara Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha Hava Pe Khushboo Ka Badal Pe Hai Rimjhim Ka Nasha Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka Kahin Gham Ka Nasha Nasha Sharaab Mein Hota To Nachti Botal Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon…