Monday, August 12, 2013

Roz taron ki numaish mein khalal parta he


Roz taron ki numaish mein khalal parta he 
Chand pagal he andheray mein nikal parta he 
Aik deewana musafir he meri ankhon mein 
Waqt be-waqt thehar jata chal parta he 
Apni tabeer k chakar mein mera jagta khawab 
Roz suraj ki tarah ghar se nikal parta he 
Roz pathar ki himayat mein ghazal likhty hein 
Roz sheeshon se koi kaam nikal parta he 
us ki yaad ayi he sanso zara ahista chalo 
Dharkano se bhi ibadat mein khalal parta he

Saturday, August 3, 2013

Yeh Kamyabian Izat Yeh Naam Tum


Yeh Kamyabian Izat Yeh Naam Tum Sey Hai Khuda Ney Jo Bhi Diya Hai Mukaam Tum Sey Hai Tumharey Dum Sey Hain Mairey Lahu Main Khiltey Gulab Mairey Wajood Ka Sara Nizaam Tum Sey Hai Kahan Bisat Jahan Aur Main Kamsin-o-Nadan Yeh Mairi Jeet Ka Sab Ahtamam Tum Sey Hai Jahan Jahan Hai Mairi Dustumni Sabab Main Houn Jahan Jahan Hai Maira Ahtaraam Tum Sey Hai Wasi Shah

Dard gar aadmi hota To gareban pakar kar kehte


Dard gar aadmi hota To gareban pakar kar kehte
 Iss tarha rehtey hain Be-chain dilon k andar Iss tarha karte hain Bemaron se Dil main rehna hy to Theek se rehna sekho Hum tumhein sehtey hain Kuch tum b to sehna sekho Aik thori si khushi aaiy to Jal jate ho Dard Gar Aadmi Hota…….